Sunday 7 October 2012

Khafa hai mujh say mujhy pareshan karta hai


Khafa hai mujh say mujhy pareshan karta hai
Ajeeb shaks hai khud say badguman karta hai

Na meri parwah hai na mery haal ki kuch khabar
Salook wo karny laga hai jesay anjaan karta hai
...
Wo mery zikr pay uktana mujh say katra kar guzar jana
Aesa lagta hai jesay wo doori ka saman karta hai

Pehly to mujh say milna hi aehem tha jis k liye
Ab milta bhi hai to jesay aehsaan karta hai

Taluk torna hai to aa k keh day mujh say
wo aesi batain gairon say bayaan karta hai....

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment