Thursday 11 October 2012

Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun


Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun
Jo tu nahi hai to phir tera intezaar bhi kiun?

Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai
To phir ae waada shikan teri rehguzaar bhi kiun?

Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai
Jo wo nahi hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun?

Agar bhulaye huye usko aik umr hui
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun?

Wo jin labon pe yaqeen-e-wafa mehek na sakey
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun?

Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun?

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment