Friday 26 October 2012

Jo dil main hay aankhon ke hawaley nahin karna


Jo dil main hay aankhon ke hawaley nahin karna
Khud ko kabhi khoabon ke hawaley nahin karna

Is umar main khush fehmian achi nahin hotin
Is umar ko waadon ke hawaley nahin karna

Ab apnay thikanay per rehta hi nahin koye
Paigham parindon ke hawalay nahin karna

Dunya bhi to pataal say bahar ka safar hai
Manzil kabhi raston ke hawalay nahin karna

Ab jo musafat hamen dar pesh hai us main
Kuch bhi to sarabon ke hawalay nahin karna

Is maarka-e-ishq main jo haal ho mera
Lekin mujhe logon ke hawalay nahin karna

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment