Saturday 30 June 2012

Kese Bhoool gaya


Kese Bhoool gaya wo guzre hue din
Lagta nahi tha us ka dil mere bin

Dosto se kaha karta tha wo b,
Kia ye b ji sakta hai mere bin

Mazaq ban jaya karta tha jo Doston mein
khud ko tanha samjta tha wo mere bin

Isse had-e-deewangi kahoon ya pagalpan
Tassawar me wo batein kiya karta tha mere bin

Wo mausmo k badlny se darta nahi tha lekin
Bahaar mein murjhaya karta tha mere bin

Ab Aas toot gai uske aane ki
Lagta hai Wo Jeena seekh chuka hai mere bin....

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment