Wednesday 27 June 2012

Faansle itne badha de


Faansle itne badha de ke mit na payen kabhi
Dewaaren aisee bana de ke hat na payen kabhi

Apne haathon ki lakeeron se faink de mujhko
Raaste per aise chala de ke palat na payen kabhi

Phir Apne ghar me khushiyon ki shamme jala le
Mujhse behtar ho koi aisa humsafar banaale

Apne maazi* ki qafas* me dafan ker de mujhe
Jeete ji na phir meri yaad kabhi aaye tujhe

Teri aawaaz bhee sunne ko taras jaaun mai
Kuch bhee aisa ker ke tujhtak vapas na aaun mai

Phir teri aankhe mere khawabon ki muntzir* na rahen
Phir tere sawaal mere jawaabon ke muntzir na rahen

Bas teri khushi ke liye do Tuqda zindgi jee loonga
Magar yaad rahe.....Ek shabnami raat ko jab ye aankhen

Band hone lagengi,Zindgi ke chiraag maduum* hone lagenge
Mai aaungi....................Mai aaungi

Ek baar tere darwaze per kuch armaan liye...
Kaampte haathon se dastak doongi

Tu bahar aana or apne baho me chupana mujhko
Maut se pehle apni god me sulana mujhko

Kya karoon aana bhee meri majboori hai,
Ek masooq ki maut marrna bhee jaroori hai

Jeete ji tera saath na mile laazmi ye nahi
Laazmi hai ke marrte waqt paas ho tu mere

Isske baad na he koi chaahat hai
Na he mehboob mujhe tujhse koi shiqayat hai

Maine kuch roz pehle maut se ye vaada kiya hai
Khud se milne ko tere pehlu ka pata diya hai.wäsï

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment