Deepak raag hai chahat apni kahay sunain tumhein
Hum tou sulagtay he rehtay hain kahay sulgain tumhain
Turk-e-mohabbat , turk-e-tamanna kar chuknay kay baad
Hum pay ye mushkil aan padi hai kaisay bulain tumhain
Dil kay zakhum ka rung tou shaaid aankhoon main bhar aaye
Rooh kay zakhmoon ki gehrai kaisay dekhain tumhain
Dard humari mehroomi ka tum tab janoo gay
Jab khanay aaein gi chup ki saaen saaen tumhain
Sunnata jab tanhai kay zeher mein bujhta hai
Woh gharriyaan kyun kar katti hain kaisay batain tumhain
Jin baatoon nay piyar tumhara nafrat main badla hai
Dar lagta hai woh batein bhi bhool na jain tumhain

.'''-'''.
''.A.''
0 comments:
Post a Comment