Aarzoo ki shiddat ko kaasah tum samajh saktey
Mere dil ki chahat ko kaash tum samajh saktey
Kiss tarha jalati hain saa'atein judai ki,
Hijar ki qayamat ko kaash tum samajh saktey
Dukh judai ka sehna bePanah muskil hai,
Meri iss rayazat ko kaash tum samajh saktey
Pyar ke siwa mujh ko aur kuch nahi aata,
Meri iss jablat ko kaash tum samajh saktey
Main tumhare khuwabon mein khoya khoya rehta hoon,
Mere dil ki halat ko kaash tum samajh saktey
Aik mureed-e- khas ke dil mein bus gae ho tum,
Meri iss aqidat ko kaash tum samajh saktey
Jo dikhai dete hain Log woh nahi hain wasiq,
Sirf iss haqiqat ko kaash tum samajh saktey.....

.'''-'''.
''.A.''
0 comments:
Post a Comment