AansooN se tar ho meri nazar tum ko is se kya
Yaa toote mere Dil pe Qehar tum ko is se kya
Tanhai mujhe das rahi hai saaNp ki tarah'N
Furqat se mujhe lagta hai dar tum ko is se kya
Roti hai shab ki be basi taqdeer se mil kar
Gham khuwaa'N hai mere dukh ki sehar* tum ko is se kya
Qisse hamarey jab se huwey aam zubaa'N par
Tab sey udoowey jaaN hai shehar tum ko is se kya
Talwar ban ke yaadein barasti haiN tumhari
Gar kat bhi gaya mera jigar tum ko is se kya
Tum majma e aghyaar mai khushiyo k piyo jaam
MaiN dukh ka pee raha hu zehar tum ko is se kya
Tum zindagi ko dhoond rahe ho mere baghair
MaiN jeete ji hoo khaak basar tum ko is se kya

.'''-'''.
''.A.''
0 comments:
Post a Comment