Tuesday 16 April 2013

Tu apnay fan se meri chahat ko azma k daikh


Tu apnay fan se meri chahat ko azma k daikh,

Main toot-ta hoon tu phir se mujhe bana k daikh,

Teray badan main lahu ban k dorrta hoon main,

Tujhe anaa ki qasam hai mujhay bhula k daikh,

Main itnay dard main b qeh qahay lagaata hoon,

TU ek dukh main mujhay sirf muskara k daikh,

Tujhe to main nay hamysha manaya hai lakin,

Main aaj rooth chala hoon mujhay mana k daikh,,,!

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment