Monday 29 April 2013

Safar-E-Wafa ki raah me manzil jafa ki thi


Safar-E-Wafa ki raah me manzil jafa ki thi.

Kaghaz ka ghar bna k bhi

khawahish hawa ki thi.

Thi jugnuon k shehr me taron se dushmani.

Mashooq chaand tha or tamana subha ki thi.

Tum ne to Ibadat ka tamasha bna diya.

Chahat namaaz ki thi per aadat kaza ki thi.

Me ne to zindagi ko tery naam likha tha.

Shayad mager kuch aur hi marzi KHUDA ki thi,

Dard hi dena tha to pehlay bata daitay.

Hum ko bhi azal say he tamana saza ki thi.

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment