Thursday 17 January 2013

Ye kisaka tasavur hai, ye kisaka fasana hai


Ye kisaka tasavur hai, ye kisaka fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai,

Aankhon mein nami si hai chup-chup se vo baithe hain,
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai,

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai,

Yaa vo the khafa ham se ya ham the khafa unse,
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai...

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙
 

0 comments:

Post a Comment