Thursday 24 January 2013

Main aur meri bekhudi ab teray naam hay


Main aur meri bekhudi ab teray naam hay,
Meri tamaam zindagi ab teray naam hay.

Socha tha zindagi ka safar tanha karain gay,
Iss zindagi ki har khushi ab teray naam hay.

Logon ki baat dil pe na lena kabhi sanam,
Meri toe sans akhri ab teray naam hay.

Jalnay do inko jalnay ki aadat hay purani,
Main aur meri dosti ab teray naam hay.

Hum say wafa karo na karo jan-e-tamanna,
Apni toe sari zindagi ab teray naam hay.

Ehsas zindagi ka mujhay denay walay sunn,
Lamha meri ghari meri ab teray naam hay.

Na faasla koi hay na deewar-e-dushamanaan,
Yeh chaand aur yeh chandni ab teray naamhay.

Yeh aarzoo choti si Mussawir ke dil main hay,
Woh bhi kahay yeh aashiqi ab teray naam hay.

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment