Thursday 31 January 2013

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko


Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko

Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujhko

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujhko !

Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujhko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙


0 comments:

Post a Comment