Saturday 1 September 2012

Tumhein farak nahi parta


Tumhein farak nahi parta.....!

Main tum se roth jaon tou,
Tumhare pas na aaon tou,

Phir tum se duurr jaa kar main,
Kabhi wapis na aaon tou,

Tumhari yaad mein gum sum,
Kabhi aansu bahaon tou,

Tumhein fark nahi parta....!
Tumhare piyar mein aksar,

Khud ko bhool jaaon tou,
Main teri deed mein tanha,

Kabhi khud ko mitaon tou,
Main tumse door reh kar phir,

Akele marr bhi jaaon tou,
Tumhein fark nahi parta...!!!

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment