Saturday 8 September 2012

Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain


Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain
Dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain

Tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
Barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain.

Ab toh chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
Halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain.

Ab toh ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
Din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain.

Zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
Apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment