Saturday, 8 September 2012

Badal saka na judai k gham utha kar bhi


Badal saka na judai k gham utha kar bhi
K main tho main hi raha tujh say door ja kar bhi

Main sakht jaan tha is qurb say b bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath say ganwa kar bhi

Khuda kare tujhe doori hi raas ajaye
Tu kya kare ga bhala ab yahan par aa kar bhi

Abhi tho mere bikharne ka khail baqi hai
Main khush nahi hoon abhi apna ghar lota kar bhi

Main usko sattah say mehsoos kar k bhi khush hoon
Wo mutmain hi nahi meri tehh ko paa kar bhi

Abhi tho us ne koi bhi faisla na kiya
Wo chup hai mujhko har tarha say aazma kar bhi

Wo aur log the jin ka ajaz haal howa
Hume tho kuch na mila apna ap mita kar bhi

Khula ye bhaid k tanhaiyan hi qismat hain
Ek umar dekh liya mehfilein saja kar bhi

Ghazal kahe pay bhi sochoon ka bojh kam na howa
Sakoo'n na mill saka ahwal_e_dil suna kar bhi

Ruka na zulm mere rak banne par bhi Riyaz
Hawa ki kho tho wahi hai mujhe jala kar bhi...!

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment