Thursday 5 July 2012

Muqadar azmanay mai zamanay beet jatay hai


Muqadar azmanay mai zamanay beet jatay hai ,
Muraadey dil ki panay mai zamanay beet jatay hai ,

Rakhta agar koi himat izharey ulfat ki ,
Zubaa pr baat lanay mai zamanay beet jatay hai ,

Mohabbat jo zindagee mai baree mushkill say milti hai ,
Magar oss kay nibahnay mai zamanay beet jatay hai ,

Agar ik bar ankho mai achanak a basay koi ,
Ossay dil say bhulanay mai zamanay beet jatay hai ,

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment