Tuesday 10 July 2012

Aise toota hai tamannaon ka pindar k bus


Aise toota hai tamannaon ka pindar k bus...
Dil ne jheley hain mohabat mai wo Aazaar k bus..

Ik jhamakey mai zamaney mere hathon se gaye!
Is qadr taiz hui waqt ki raftar k bus..

Tu kbi rakh k hamain dekh to baazar k beech!
Is tarh toot k aain ge kharidar k bus..

Kal b sadyon ki musafat se paray they dono,
Darmeyan aj b parti hy wo deewar k bus..

Ye to ik zid hai k MOHSIN mei shikayat na karun,
Wrna shikwey to hain itne mere Yar k bus

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment