Thursday 23 February 2012

Lovely Poetry SMS 3

--Tu Jo Ai Zulf--

Tu Jo Ai Zulf Pareshaan Raha Karti Hai
Kis Ke Ujade Hue Dil Main Hai Thikaana Tera
Apni Aankhon Main Bhi Kaundh Gai Bijli Si
Ham Na Samajhe Ki Ye Aana Hai Ki Jaana Tera
‘Daag’ Ko Yun Wo Mitaate Hain Ye Farmaate Hain
Tu Badal Daal Hua Naam Puraana Tera
-------------------------------
--Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai--

Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai
Samandaron Hi Ke Lahje Main Baat Karta Hai

Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote
Koi To Hai Jo Hawaaon Ke Par Katarta Hai

Sharaafaton Ki Yahaan Koi Ahamiyat Hi Nahin
Kisi Ka Kuch Na Bigado To Kaun Darta Hai

Zamin Ki Kaisi Viqaalat Ho Phir Nahin Chalti
Jab Aasman Se Koi Faisla Utarta Hai

Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuchh Chaandni Si Baatain Hon
Zamin Pe Chaand Kahaan Roz Roz Utarta Hai
-------------------------------
--Aj Kch Waqt K Liye--

Aj Kch Waqt K Liye Pas Meray Kash Tum A Jao
Bht Tanha Hon Main Aj Kash Tum A Jao

Kabi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Mainay
Par AJ Bikhar Gyi Hon Main Kash Tum A Jao

Kaafi Din Say Ji Rahi Hon Bin Teray
Aj NAi Guzar Rha Ek Pal Kash Tum A Jao

Waqt Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gai Ha
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum A Jao
-------------------------------
--Ankh se door na ho--

Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga
itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga
dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!
-------------------------------
--Hui Hai Shaam To Aankhon--

Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu
Kahaan Gaya Hai Mere Shahar Ke Musafir Tu
Bahut Udaas Hai Ik Shakhs Tere Jaane Se
Jo Ho Sake To Chala Aa Usi Ki Khaatir Tu
Hansi Khushi Se Bichad Ja Agar Bichadana Hai
Ye Har Maqaam Pe Kya Sochta Hai Aakhir Tu
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Main Daal Diya
Zamaana Saahib-E-Zar Aur Sirf Shaayar Tu
-------------------------------
--Dost Ban Kar Bhi--

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhaane Waala
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamaane Waala
Kya Kahe Kitne Maraasim The Hamaare Is Se
Wo Jo Ik Shakhs Hai Muunh Pher Ke Jaane Waala
Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Waala
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho ‘Faraz’
Dost Hota Nahi Har Haath Milaane Waala
-------------------------------
--MUJHKO KAHANE DO KE--

MUJHKO KAHANE DO KE MAIN AAJ BHI JEE SAKTA HOON
ISHQ NAKAAM SAHI, MAGAR ZINDAGI NAKAAM NAHIN !!-----SAHIR
-------------------------------
--Yahan kisi ko koi--

Yahan kisi ko koi rastaa nahin detaa,
Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo !
Yahi hai zindagi,kuchh khwaab ,chand ummeedein,
Inheen khilono se tum bhi bahal sako to chalo !!----NIDA FAZLI
-------------------------------
--Na main tumse koi ummeed rakkhoon--

Na main tumse koi ummeed rakkhoon dilnawazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se !
Na meri dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton se ,
Na zaahir ho tumhaari kashmakash ka raz nazron se !!

Tumhein bhi koi uljhan rokti hai pesh-kadami de,
Mujhe bhi log kahte hain ye jalwe paraye hain !
Mere hamraah bhi ruswaaeeyan hain mere maazi ki,
Tumhare sath bhi guzree huyi raaton ke saaye hain !!

Taarruf rog ban jaye to usko bhoolnaa behtar,
Taa'alluq bojh ban jaaye to usko tidnaa achchhaa!
Wo afsaanaa jise anjaam tak laana na ho mumkin,
Use ek khoob soorat mod dekar chhodnaa achchhaa !!
----------------------SAHIR LUDHIYANAVI-------------------
-------------------------------
--Ae Zindagi--


Ae Zindagi Khatm Kar ab Ye Yadoon K Silsilay . .

Mein Thak Si Gayi Hoon Dil Ko Tasaliyaan Detay Detay. ..

0 comments:

Post a Comment