Wednesday, 20 June 2012

Jo Ham Na Hongey Jaan Bohot Pachtaogey


Sach Kabhi Jo Ham Na Hongey Jaan Bohot Pachtaogey
Phir Zara Si Baat Par Apney Hi Aansu Main Beh Jaogey

Yaad Karogey Har Wo Pal Jo Saath Hmarey Guzra Tha
Dil Hoga Bechain Tumhara Chain Kahi Na Paogey

Saari Rasmain Saari Baaten Saari Duniya Saari Mehfil
Pal Pal Bujhta Dekhogey Pal Pal Jalta Paogey

Kis Tarha Larh Paogey Apney Un Veeraano Sey
Khouf Barheyga Phir Tumhara Khud Ko Tanha Paogey

Un Labo Ko Chu Leta Tha Aankho Main Beh Jaata Tha
Kon Mareyga Itna Tumpar Jesa Ki Main Mar Jata Tha

Zulf Tumhari Uljha Kar Main Raat Siyah Banata Tha
Rukh Tumhara Pa Kar PhiR Chaand Kahi Kho Jata Tha

Har Shaam Tumhaari Thi Mujsey Har Qissey Mere Jabtey They
Pal Pal Rutha Kartey They Pal Main Hi Man Jaatey They

Jab Yaad Karogey Saarey Qissey, Saari Baateyn, Saari Qasmain
Dil Tumhara Tooteyga Phir, Choor Choor Ho Jaeyga

Hardam Yaad E Teer Tumharey Dil Main Tees Uthaeyga
Kya Karogey Bolo Phir Tum Jab Kuch Nahi Ban Paeyga

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment