Tuesday, 5 June 2012

Charaagh-e-Raah Bujha Kia



Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya

Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya

Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya

Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain
Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya

Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha
Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya

Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain ?
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya…

(♥♥Love Is Life♥♥)

0 comments:

Post a Comment