Sunday 14 July 2013

Wafa k Qaid khaano mein saza'en kab badalti hain


Wafa k Qaid khaano mein saza'en kab badalti hain?,

Badalta Dil ka mosam hai' hawa'en kab badalti hain?,

Labada orh kar Ghum ka, nikal jate hain sehra ko,

Jawab aaye k na aaye, Sada'en kab badalti hain?,

Meri sari Duain TUM se hee mansoob hain beshak,

Mohabbat ho agar SACHI, Dua'en kab badalti hain?,

Koi paa kar nibhata hai, KOI kho kar nibhata hai,

Naye andaz hote hain, Wafa'en kab badalti hain...!

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment