Sunday 17 February 2013

Naseeb aazmaane ke din aa rahe hain


Naseeb aazmaane ke din aa rahe hain
Qareeb un ke aane ke din aa rahe hain

Jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
Sab un ko sunane ke din aa rahe hain

Abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
Ke lutane lutaane ke din aa rahe hain

Tapakane lagi un nigaahon se masti
Nigaahen churaane ke din aa rahe hain

Saba phir hamen poochhti phir rahi hai
Chaman ko sajaane ke din aa rahe hain

Chalo faiz phir se kahen dil lagaen,
Suna hai thakane ke din aa rahe hain...!!!

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment