Saturday 16 February 2013

Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota


Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
Kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota

Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koi gair gair hota koi yar yar hota

Ye maza tha dillagi ka ke barabar aag lagti
Na tumhen qarar hota na hamain qarar hota

Tere wade par sitamagar abhi aur sabar karte
Agar apni zindagi ka hamain aitabar hota..!!!

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment