Monday, 31 December 2012

Kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye


Kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
Tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

Zara zulf ko sambhalo, mera dil dhadak raha hai
Koi aur tair-e-dil tah-e-daam aa na jaaye

Jissay sun ke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
Teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

Woh jo manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
Inhi rehzano mein tera kahin naam aa na jaaye

Iss fikar mein hain gultaan yeh nizam-e-zar ke bunday
Jo tamam zindagi hai woh nizam aa na jaaye

Yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe jalib
Mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye…

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment