Friday, 9 November 2012

Nigaah-e-yaar pe palkon ki jo lagaam na ho,



Nigaah-e-yaar pe palkon ki jo lagaam na ho,
Badan me dor talak zindagi ka naam na ho,

Woh Be-naqab jo phirta hai gali koochon me,
To kaise shehr k logon me qatl-e-aam na ho,

Mujhe yaqeen hai k dunya me dard barh jain,
Agar ye peenay pilanay ka ehtamaam na ho,

Bitha k saamne bus dekhta rahun us ko,
Us k siwa mujhe dunya ka koi kaam na ho,

Jo us ko daikh le Mehtaab ik nazar
"DOST"
Mere shehr ki galyon me kabhi shaaaam na ho


.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment