Friday 28 February 2014

Tanhai Me Ajeb Zamane Ki Wafa Dekhta Raha


Tanhai Me Ajeb Zamane Ki Wafa Dekhta Raha
Umr Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha

Kahin Na Kahin To Badal Hi jate Hain Silsilay
Magr Main Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha

Jane Kyun Qatratay Hain Log Mujhe Milne Say
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha

Pani Mangte Mangte Meray Hont Pathar Ho Gaye
Woh Shaks Mashkiza Liye Khara Dekhta Raha

Be-Gunah Tha Phir Bhi Sir Jhukaye Hue
Sitam-Gar Ki Sitam Ki Inteha Dekhta Raha

Umar Bhar Mohabat Ka Kuch You Silsila Raha
Main Usay Or Woh Duniya Dekhta Raha

Kahon Ga KHUDA Se Youm-E-Hisaab Ko K¿K
Ke Zamana Meri Barbadi Ka Tamasha Dekhta Raha

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment