Friday, 1 November 2013

Ye shab-e-firaq ye bebasi


Ye shab-e-firaq ye bebasi,
Hain kadam kadam pa udasian

Mera sath koi na da saka,
Meri hasratein hain dhuwan dhuwan

Ma trap trap k jia to kya,
Maray khwab mujh sa bichar gae

Ma udas ghar ki sada sahi
Mujhy da na koi tasalian

Ye fiza jo gard o ghubar ha
Meri bekasi ka mazar ha

Ma phool hon jo na khil saka,
Meri zindgi ma wafa kahan

Chali aisi dard ki andhian
Maray dil ki basti ujar gai

Ye jo raakh si hay bhuji bhuji,
Hain isi me meri nishanian.

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment