Sunday 11 November 2012

Ajab Apna Haal Hota


Ajab Apna Haal Hota

Jo Visaal-E-Yaar Hota

Kabhi Jaan Sadqe Hoti

Kabhi Dil Nisaar Hota

Na Mazaa Hai Dushmani Main

Na Hai Lutf Dosti Main

Koi Gair Gair Hota

Koi Yaar Yaar Hota

Ye Mazaa Tha Dillagi Ka

Ke Barabar Aag Lagti

Na Tumhen Qaraar Hota

Na Hamein Qaraar Hota

Tere Waade Par Sitamgar

Abhi Aur Sabr Karte

"Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota''


.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment