Thursday, 16 August 2012

Bana gulab to kante chubha gya ik shakhs


Bana gulab to kante chubha gya ik shakhs
Hua chirag to ghar hi jala gya ik shakhs

Tamam rang mere aur sare khwab mere
Fasana keh ke fasana bana gya ik shakhs

Main kis hawa main urun kis faza main lahraun
Dukhon ke jal har suu bicha gya ik shakhs

Palat sakun main na age barh sakun jis par
Mujhe ye kaun se raste laga gya ik shakhs

Muhabbaten bhi ajib us ki nafraten bhi kamal
Meri tarah ka hi mujh main sama gya ik shakhs

Wo mahtab tha marham-ba-dast aya tha
Magar kuch aur siwa dil dukha gya ik shakhs

Khula ye raz ke aina-khana hai duniya
Aur is main mujh ko tamasha bana gya ik shakhs

.'''-'''.
''.A.''

˙·٠•●♥ (♥♥love Is Life♥♥)●•٠·˙

0 comments:

Post a Comment