Friday, 1 November 2013

Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main


Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main,
Her peher her gharri yahan merta raha hoon main,

Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri,
Ik kerb-e-musalsal se guzerta raha hoon main,

Jo log apni jan se aziz thhay mujhay,
Un ke wafa ko akser tarasta raha hoon main,

Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main,
Daaman ko apnay raakh se bharta raha hoon main,

Teri yaad ne bhi likh dee muqader main baykali,
Qismat ke iss khail pe hunsta raha hoon main,

Hain aashnaa yahan meray dardon ke qaaflay,
Bus inn ke dermiyan he chalta raha hoon main,

Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker,
Apnay he saaye se bhi darta raha hoon main,

Aaj hoon main us jagah jahan manzil nahi Shaukat,
Raston se bewaja he larrta raha hoon main..

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai


Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai

Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai Kyuki
Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

Lovely Poetry SMS 116


 Baalon main apnay saja liye gajray tumharay naam kay,

Khud hi haya anay lagi saye barhay jab shaam kay ..

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

 Yeh Kis Mod Per Tu Ny......... Bichadney Ki Sochi,

Muddatou'n Baad Toh Din Sawarney Lagey Thay.

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

 Ajab tilassm* hay tere wajood ka mujh per,

Toota mera har khuwaab magar yeh nahin toota..

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

 Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,

Hum na hon ge tab bhi ho gi subha teri..Sham teri…

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Be-khabar be-waja be-rukhi na kiya kar.....

koi toot sa jata hai tera lehja badalne se…..!!

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

Apni nazroon se jo gir jaye wo chehra na bana


Apni nazroon se jo gir jaye wo chehra na bana
Mujh ko Lamha-e-fursat ka khilona na bana

Hazaroon raaste hain ajnabi ho jaane ke
Tark karna hai taluq to bahana na bana

Apni yaadain to mere dil mai basi rehne de
Iss mehakte huye gulzar ko sehra na bana

Thak gai hain mere ehsas ki Aankhain "Mohsin"
Naqsh-e-Deewar pr ab koi fasana na bana.........

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥♥)♥●•٠·˙

Dil ko dard ankhon ko diya paani tumne


Dil ko dard ankhon ko diya paani tumne
Kis adaa se ujar Di meri jawaani tumne,

Tark-e-Talluk ke baad yeh meetha sa dard
sangeen jurm ki di hai saza suhaani tumne,

Daag dil ke sahayad yaad dilaa dain tumko
barsoon ki hai yeh hukmarani tumne,

kafan Gul-O-Bulbul ka diya hai chaman ko
cheen kar gulshan se baagh baani tumne,

waaqif thi ke toot jaungi nazuk lafzon se
soch samjh kar ki ha manmaani tumne....

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥♥)♥●•٠·˙