Tuesday, 25 December 2012

kabhi yad aaye to punchna


kabhi yad aaye to punchna
zara apni khalwat-e-sham se

kisa ishq tha teri zat se
kisa pyra tha tere naam se

zara yad karo k wo kon tha
jo kabhi tujhay bhi aziz tha!

wo jo jee utha teray naam sy
wo jo mar mita teray naam sy

hmein berukhi ka nahi gila
k yehi wafaon ka hy sila

na kbi visal ki chah ki
na kbi firaq me aah ki

k mera tarika-e-bandagi
ha juda tarika-e-aam say

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙

Aaj Akeli Hai Raat K Aaj Tum Thorey Pass Aajao


Aaj Akeli Hai Raat K Aaj Tum Thorey Pass Aajao,
Bin Mousam Hai Ye Barsaat K Tum Thorey Pass Aajao,

Hawa Bhi Aaj Kuch Khass K Jisam Thanda Na Parr Jaye,
Aankh'on Se Kehtay Hain Hum Ye Baat Tum Thorey Pass Aajao,

Mery Hath Pe Tum Hath Rakh K Sanwaro Jo Zulfain Meri,
Dekho Ab Na Karna Hum Ko Udass K Tum Thorey Pass Aajao,

Apni Baanh'on Me Bhar Loo Mujhe Apne Hoont'on Se Choo Loo Mujhe,
Aaj Too Bujha Doo Meri Ye Piyaas K Tum Thorey Pass Aajao,

"Ay Meri Jaan Aaj To Tum Thorey Pass Aajao"

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙

Meri Aankh'on Se Kabhi Utro Is Dil Me


Meri Aankh'on Se Kabhi Utro Is Dil Me,
K Main Apni In Dharrkano Me Basa Loon Tum Ko,

Jaan Se Barrh Kar Chahon Tumhain Hamesha,
Or Hamesha K Liye Apni Zindagi Bana Loon Tum Ko,

Meri Har Raat Me Srif Tum Hi Basay Ho,
Ab Too Apni Neend'on Me Saja Loon Tum Ko,

Logon Ki Bheerr Me Tum Khoo Na Jana Kaheen,
Ab Too Zamanay Ki Nazar Se Hi Chura Loon Tum Ko,

Meri Rooh Ko Shiddat Se Zaroorat Hai Tumhari "sanam"
Agar Ijaazat Ho Too Apni Baanh'on Me Basa Loon Tum Ko,

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙

Be'Sabab Youn Hi Sar-E-Sham Nikal Aaty Hain


Be'Sabab Youn Hi Sar-E-Sham Nikal Aaty Hain,
Hum Bulaen To Unhien Kaam Nikal Aaty Hain,

Koi Hamein Shoq To Nahi Hai Aawargi Ka,
Hum to Unki Galiyon Mein Un Se Honay Hamkalaam Nikal Aaty Hain,

UnKi Jafaon Ke Zakham Khatay Rahey Hain Kuch Is Tarah,
Ke Raat Ka Andhera Charhtay Hi Dard Tamam Nikal Aaty Hain,

Kya Btaun In Hussan Walon Ki Tumhien ,

Hum Bulaen To Parda,

Warna! Sar-E-Aam Nikal Aaty Hain...!!

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙

Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad


Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad
Gham Ban Gaya Naseeb Maira Har Khushi Ke Baad

Nikla Tha Kaarwaan Mohabbat Ki Raah Mein
Har Morr Pay Nafrat Kharri Thi Har Gali Ke Baad

Socha Tha Pyar Ka Main Sajaoon Ga Gulsitaan
Har Phool Jal Gaya Maira Ban Kar Kali Ke Baad

Chahat Ki Be-basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar
Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi Dil Lagi Ke Baad

Abb Raakh He Samait-ta Hoon Aashiyaney Ki
Khud Hi Jala Diya Tha Jaisey Aajazi Ke Baad

Suntey Hain Baad Marney Ke Milta Hai Sab Sila
Daikhein Gey Kya Miley Ga Humein Zindagi Ke Baad

.'''-'''.
''.A.''
˙·٠•●♥ (♥♥Love Is Life♥)●•٠·˙